gul bhi ho sakta hai aur jam bhi ho sakta hai

By zeeshan-kavishMarch 1, 2024
gul bhi ho sakta hai aur jam bhi ho sakta hai
husn ka tere koi nam bhi ho sakta hai
apne kirdar se ai nam kamane wale
teri khatir koi badnam bhi ho sakta hai


apni taqat pe na itra tu zara soch to le
tera fir'aun sa anjam bhi ho sakta hai
raaz-e-dil us se chhupae hue main baitha hun
us ko batlaun to kohram bhi ho sakta hai


94455 viewsghazalEnglish