gul hai zaKHmi bahaar ke hathon

By meer-hasanNovember 6, 2020
gul hai zakhmi bahaar ke hathon
dil hai sad-chaak yar ke hathon
dam-ba-dam qata hoti jati hai
umr lail-o-nahaar ke hathon


jaan-ba-lab ho raha hun misl-e-habab
main tere intizar ke hathon
ek dam bhi mila na hum ko qarar
is dil-e-be-qarar ke hathon


apni sar-gashtagi kabhi na gai
gardish-e-rozgar ke hathon
ek shagufa uthe hai roz naya
is dil-e-dagh-dar ke hathon


dil pe kya kya hue hain naqsh-o-nigar
nawak-e-dil-figar ke hathon
ho raha hai kharab khana-e-dil
dida-e-ashk-bar ke hathon


gar kabhi lag gaya tera daman
meri musht-e-ghubar ke hathon
chhutna hai phir us ka amr-e-muhaal
is tere khaksar ke hathon


ek dil khar khar hun main 'hasan'
apne us gul-ezar ke hathon
86661 viewsghazalEnglish