gul tha bulbul thi gulistan mein magar tu hi na tha kya gulistan wo gulistan tha agar tu hi na tha shor-o-hangama to aashiq ko nahin deta hai zeb sab hi zakhmi the wahan zer-o-zabar tu hi na tha rang kitne the magar tujh ko na tha shauq-e-hayat ham-safar kitne the mushtaq-e-safar tu hi na tha chah shohrat ki na kar par tu yun ruswa to na ho teri khatir thi saji bazm-e-hunar tu hi na tha kaisa manzar ho bina nur-e-nazar kuchh bhi nahin kaise manzar the par ai nur-e-nazar tu hi na tha mujh ko khadsha tha ki tu jadu hai par chhu hi liya wahi aakhir ko hua jis ka tha dar tu hi na tha aashna tu hi tha sheron ke ishaaron se mere kya hi phir karta bhala arz-e-hunar tu hi na tha