gulab chehra sharab raaten

By nomaan-shauqueFebruary 28, 2024
gulab chehra sharab raaten
teri 'ata hain ye khwab raaten
kahan ye bujhte charagh ki lau
kahan ye 'izzat-maab raaten


nikaliye waqt banda-parwar
sanwariye kuchh kharab raaten
naya nasha hai khuli sadak par
naha ke niklin 'azab raaten


chalo badan par lapette hain
baras rahi mahtab raaten
siyahkaron ne phir du'a ki
khuda sanware kharab raaten


ye bagh hai muntazir tumhaara
khili hui hain gulab raaten
14073 viewsghazalEnglish