gulab-chehre pe shab ka eajaz bolta hai wo chup hai lekin nazar ka andaz bolta hai main jaise khushbu ki barishon main naha raha hun hawa ke honton se koi gul-baz bolta hai mujhi mein raushan charagh-e-naghma magar abhi tak mujhe guman hai ki parda-e-saz bolta hai pukarti hai koi sada mujh ko dasht-e-jaan se ye tu hai ya mera wahm-e-awaz bolta hai parind har chand qaid to ho gaya hai lekin har ek bun-e-mu se josh-e-parwaz bolta hai