gulab-chehron ki shadmani ka kya banega

By haseebul-hasanSeptember 3, 2023
gulab-chehron ki shadmani ka kya banega
ki bagh chhoda to baghbani ka kya banega
hamare aansu kisi thikane to lag rahe hain
furaat ke bad-nasib pani ka kya banega


use zamane ki fikr hai aur main sochta hun
hamari uthti hui jawani ka kya banega
teri anguthi hamari ungli jakad chuki hai
tu ja raha hai to is nishani ka kya banega


khuda kare ki hamare hisse mein tu na aae
jo tu milega to raegani ka kya banega
'hasan' main senapati hun marne ka dar nahin hai
main sochta hun ki raja-rani ka kya banega


60583 viewsghazalEnglish