gulab rangon ko zafrani nahin karunga

By aadil-rahiSeptember 7, 2024
gulab rangon ko za'frani nahin karunga
main aise paudon ki baghbani nahin karunga
kisi ki khatir ghalat-bayani nahin karunga
main jhute logon ki tarjumani nahin karunga


suna hai ab wo khilaf mere gawahi dega
jo kah raha tha ki bad-gumani nahin karunga
saza main khud ko kabhi na dunga tere kiye ki
jigar ko chhalni lahu ko pani nahin karunga


tumhaare gham ka tumhaari yaadon ka main amin hun
kaha tha tum se ki be-imani nahin karunga
mu'af tujh ko main pahle bhi kar chuka hun lekin
dubara tujh par ye mehrbani nahin karunga


ye ghair-mumkin hai phir bhi hakim bana to 'adil'
sitam-rasidon pe hukmrani nahin karunga
26845 viewsghazalEnglish