gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein lut khizan machaegi aate hi is dayar mein lut kushud-e-kar ki koshish mein de na hirs ko dakhl shikast deti hai faujon ko kar-zar mein lut lubhae saikdon dil un ke khal-e-ariz ne machae zangiyon ne wadi-e-tatar mein lut wo muntazim hai rahe jis ki juz-o-kul pe nazar na kar sake koi gungir karobar mein lut jahan mein hoti hai ehsan ki jaza ehsan sawab nekiyon ke daur-e-ikhtiyar mein lut abas hai bund ka chuka agar ghade dhalkae hamesha naqd mein wara hai yan udhaar mein lut kiye hain sheb ne sab jism ke qawa kamzor shurua ho gai har samt is hisar mein lut hujum-e-yas mein chhod ai ummid kishwar-e-dil hai qatl-e-am ka ghul shahr mein jawar mein lut bane wo fateh-e-kaunain khush ho tu jis se zyaada ganj-e-kawakib se ho shumar mein lut dayar-e-dil mein hai phir dagh-e-ishq ka toda junun mata-e-hawas mausam-e-bahaar mein lut bhari hai taza har ek sar mein shor-o-shar ki hawa ajab nahin jo mache bagh-e-rozgar mein lut 'habib' mashq-e-riyazat se kho ke zang-e-dui maze visal ke har dam firaq-e-yar mein lut