gulon ka sina-figar kaisa rawish-rawish par ghubar kaisa
By birj-lal-raanaFebruary 26, 2024
gulon ka sina-figar kaisa rawish-rawish par ghubar kaisa
mere chaman ke muhafizo ye naya nizam-e-bahaar kaisa
hawa-e-baada mein talkhiyon se gurez mumkin nahin hai hargiz
ye zindagani mein zindagani ki kashmakash se farar kaisa
jo dil ki thandak bane hue the wahi dilon ko jala rahe hain
hawa-e-gulshan ne bhar diya hai gulon mein rang-e-sharar kaisa
jahan umidon ki raushni thi wahan ye hasrat ki zulmaten kyon
jahan sunahre mahal khade the wahan ye suna mazar kaisa
nikal ke daman-e-gul se kanton mein dhundhte ho panah 'ra'na'
ye pyar se nafraten hain kaisi ye nafraton se hai pyar kaisa

35460 viewsghazal • English