gulon ko karte hue jab kalam dekha tha

By rashid-ansarFebruary 28, 2024
gulon ko karte hue jab kalam dekha tha
wo padh rahe the unhi par salam dekha tha
kitab-e-zist ke safhe palat raha tha main
jahan khushi thi wahan tera nam dekha tha


mahak rahi hai abhi tak ye zindagi meri
zamin-e-dil pe gul-e-na-tamam dekha tha
suna hai ab bhi wahan par gulab ugte hain
tumhaara raqs jahan subh-o-sham dekha tha


kuchh aise dekha tumhaare shabab ko main ne
kisi ne jaise nazar bhar ke jam dekha tha
wo ek waqt tha to 'ajizi ka paikar tha
zamane bhar mein tera ehtiram dekha tha


saza mili thi hamein saf-goi ki 'ansar'
har ek nigah mein bas intiqam dekha tha
66597 viewsghazalEnglish