gulshan bhi sajae hain is ne ye jhalka hai shamshir mein bhi insan ke lahu ka khel hua takhrib mein bhi tamir mein bhi jo farq hai wo hai hathon ka jo shauq-e-amal mein badhte hain yun ek hi naghma ek tadap hai saz mein bhi shamshir mein bhi chun chun ke khirad ne nocha hai phulon ki qabaon ko lekin kuchh daman salim rah hi gae is sorish-dar-o-gir mein bhi ye sabr ki talqin aur tute tute jumle bahki satren jo tum ne chhupana chaha tha wo chhup na saka tahrir mein bhi sab apni tarah se karte hain jine ke jatan par kya kije tadbir nahin chalti aksar is kar-gah-e-tadbir mein bhi ye sadgi jo rangin bhi hai ye khamushi jo taqrir bhi hai wo ek tarah se lagte hain tahrir mein bhi taswir mein bhi