gulshan-e-ummid yun ujDa ki sahra ho gaya
By ishaq-nashadJanuary 21, 2022
gulshan-e-ummid yun ujda ki sahra ho gaya
us ne aankhen pher lin har su andhera ho gaya
mauj-ta-ba-mauj phaili hai bisat-e-kaenat
pyas jab dubi samundar aur gahra ho gaya
bebasi ki dhup jab khwabon ke chehre par padi
aap ki yaadon ka saya aur gahra ho gaya
tabish-e-jalwa ki ye ranginiyan kis se kahun
meri nazron mein har ek manzar sunahra ho gaya
tirgi hi tirgi thi bazm-e-ehsasat mein
aap jab aae kiran phuti sawera ho gaya
be-haqiqat zindagi ki har haqiqat hai sarab
aae thahre aur chale do din basera ho gaya
kyon hai ai 'nashad' har-su aaj tera tazkira
aisa lagta hai ki shayad koi tera ho gaya

51772 viewsghazal • English