gum-gashta jab har parchhai ban jati hai
By ahtamam-sadiqAugust 5, 2023
gum-gashta jab har parchhai ban jati hai
tab ye wahshat bhi man-jai ban jati hai
dariya jaan ke mujh tak pyase aa jate hain
wajh-e-ta’aruf aabla-pai ban jati hai
surkh labaada odhe sham hai aks kisi ka
dhup sunahri ek angdai ban jati hai
kuchh logon ki duri andha kar deti hai
kuchh kurton se to binai ban jati hai
mujh mein thodi ghor siyahi mil jae to
hijr-shabon wali tanhai ban jati hai
us ke nam pe main ladne to aa jata hun
baat yahi us ki ruswai ban jati hai
sham dhale hi gham rone ko aa jate hain
subh talak to ghar mein kai ban jati hai
koi ek apna hota hai jis ke dukh par
'sadiq' apni pir-parai ban jati hai
tab ye wahshat bhi man-jai ban jati hai
dariya jaan ke mujh tak pyase aa jate hain
wajh-e-ta’aruf aabla-pai ban jati hai
surkh labaada odhe sham hai aks kisi ka
dhup sunahri ek angdai ban jati hai
kuchh logon ki duri andha kar deti hai
kuchh kurton se to binai ban jati hai
mujh mein thodi ghor siyahi mil jae to
hijr-shabon wali tanhai ban jati hai
us ke nam pe main ladne to aa jata hun
baat yahi us ki ruswai ban jati hai
sham dhale hi gham rone ko aa jate hain
subh talak to ghar mein kai ban jati hai
koi ek apna hota hai jis ke dukh par
'sadiq' apni pir-parai ban jati hai
16008 viewsghazal • English