gum-gashta manzilon ka mujhe phir nishan de

gum-gashta manzilon ka mujhe phir nishan de
meri zamin mujh ko mera aasman de

zakhmon ki aabru ko na yun khak mein mila
chadar mere lahu ki mere sar pe tan de

ye dhadkanon ka shor qayamat se kam nahin
ai rabb-e-saut mujh ko dil-e-be-zaban de

ya mujh se chhin le ye mazaq-e-buland-o-past
ya mere baal-o-par ko khula aasman de

manga tha main ne kab ye jhuki gardanon ka gham
razzaq-e-gham mujhe gham-e-gardun-nishan de

sail-e-sukut ab to rag-e-jaan tak aa gaya
izn-e-bayan de mujhe izn-e-bayan de

daman kushada phir se hai khatun-e-gham 'rashid'
taza lahu se likh ke nai dastan de