gum hun KHalaon mein ki sar-e-asman rahen
By badiuzzaman-khawarOctober 8, 2023
gum hun khalaon mein ki sar-e-asman rahen
bichhde jo hum zamin se to jaane kahan rahen
hail hazar rah mein sang-e-giran rahen
dariya hain hum to kyon na musalsal rawan rahen
ye chahte hue bhi ki ban jaen aaina
aakhir badan ke parde mein kab tak nihan rahen
ghurbat ho hum pe sahl jo yaadon ke rup mein
tum bhi hamare sath raho hum jahan rahen
ji chahta hai raunaq-e-bazar dekh kar
is shahr hi mein koi bana kar makan rahen
qurbat 'ajab nahin ki dilon ko nasib ho
jismon ke fasle na agar darmiyan rahen
jab marhale wara-e-takhayyul hain aur bhi
hum kyon asir-e-manzil-e-wahm-o-guman rahen
hum bhi hain phul hum pe zamin-e-chaman ke sath
faslon ke dewta bhi zara mehrban rahen
'khawar' hamare ba'd bahut hai ki chaar din
lauh-e-jahan pe sabt hamare nishan rahen

63355 viewsghazal • English