gumrahiyon mein luT gai ishrat KHayal ki

By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
gumrahiyon mein lut gai 'ishrat khayal ki
ab justuju se pak hai surat maal ki
rang-e-shafaq se shan 'ayan hai jamal ki
wo dad chahte hain abhi se kamal ki


rahmat ke waste se faqat zul-jalal ki
jurat har ek rind ne ki hasb-e-haal ki
gham hai firaq ka na khushi hai visal ki
meri nazar amin hai husn-o-jamal ki


saqi ka iltifat hai in'am-e-inzibaat
jurat nahin hai hosh ke munh se sawal ki
parda bhi ho kabhi to kabhi ru-baru bhi ho
zamin hai 'afiyat ki rawish e'tidal ki


chashm-e-karam ke sath surahi bhi jhuk gai
taqdir dam-zadan mein badal di sifal ki
ye mehr-o-mah husn-o-nazar aur rang-o-bu
'aks-afriniyan hain kisi ke jamal ki


har ro'b-e-husn dab-e-mohabbat mizaj-e-‘ishq
rakhta hai sar-basar koi khubi kamal ki
ba-wasf-e-shart-e-bandagi banda-nawaz ne
aaqai bakhsh di hai 'amal ki khayal ki


us be-khudi ka said hua hai sukun-nasib
makhfi hai jo nazar se zawal-o-kamal ki
sar is liye na uth saka sajde se aaj tak
'izzat 'aziz hai ‘araq-e-infi’al ki


zahid khuda ki di hui ne'mat ka rang dekh
is se tamiz hogi haram-o-halal ki
nam-e-khuda ko rakhta hai dil is liye 'aziz
aazad hai ye qaid se har ehtimal ki


gumnamiyon mein 'shad' raha tum sa be-nawa
ustad laj rah gai dast-e-sawal ki
19877 viewsghazalEnglish