gunah apne ginata hun Darne lagta hun
By aadarsh-dubeyFebruary 25, 2024
gunah apne ginata hun darne lagta hun
khuda ke samne jata hun darne lagta hun
kuchh itna khaufzada hun main apne kamre mein
koi charagh jalata hun darne lagta hun
ab is maqam pe pahunchi hai meri tanhai
qarib khud ke bhi jata hun darne lagta hun
qarib dekh ke mujh ko lipat na jae kahin
main us ki bazm mein jata hun darne lagta hun
kahin wo jaan na le mere dil ki haalat ko
kisi ko she'r sunata hun darne lagta hun

21324 viewsghazal • English