gunjta hai nala-e-mahtab aadhi raat ko tut jate hain suhane khwab aadhi raat ko bhagte sayon ki chikhen tutte taron ka shor main hun aur ek mahshar-e-be-khwab aadhi raat ko sham hi se bazm-e-anjum nashsha-e-ghaflat mein thi chand ne bhi pi liya zahrab aadhi raat ko ek shikasta khwab ki kadiyan milane aae hain der se bichhde hue ahbab aadhi raat ko daulat-e-ehsas-e-gham ki itni arzani hui nind si shai ho gai nayab aadhi raat ko