guzar gaya intizar had se ye wada-e-na-tamam kab tak na marne degi mujhe sitamgar teri tamanna-e-kham kab tak ajal mera itna kaam kar de ki kaam mera tamam kar de rahe koi zindagi ke hathon jahan mein ruswa-e-am kab tak wo aae ya wade par na aae bala se qismat jo kuchh dikha de magar hamein dekhna to ye hai ki aaj hoti hai sham kab tak ye bahas o takrar chhod de aa ye zohd ka ahd tod de rahegi ai muddai-e-hurmat sharab-e-duniya haram kab tak