guzarna rahguzaron se baDa aasan tha pahle

By khawaja-javed-akhtarNovember 3, 2020
guzarna rahguzaron se bada aasan tha pahle
ilaqa hum jahan rahte hain wo sunsan tha pahle
sabab kya hai use khone ka kuchh bhi gham nahin hota
jise pane ka is dil ko bada arman tha pahle


ye aalam hai ki ab kuchh bhi nahin ek hu ka aalam hai
hamare khana-e-dil mein koi mehman tha pahle
bashar ka shar numayan ho gaya daur-e-taraqqi mein
yahi wo aadmi hai jo kabhi insan tha pahle


ajab khushbu si aati hai dar-o-diwar se ab bhi
yahan koi yaqinan sahib-e-iman tha pahle
wo mere waste ab jaan dene par hai aamada
wahi 'jawed' jo mera harif-e-jaan tha pahle


49961 viewsghazalEnglish