guzishta kuchh dinon se bekali hai

By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
guzishta kuchh dinon se bekali hai
kisi ki yaad ne haalat ye ki hai
jise sajde salami de rahe hain
tera sajda husain ibn-e-'ali hai


rasul-e-do-sara farma rahe hain
khadija si na koi dusri hai
kahani-kar se kahe ka jhagda
koi kirdar bhi kab daimi hai


abhi socha tha likhkhun chand is par
sar-e-qirtas phaili raushni hai
tu 'adil hai bata mere khudaya
guzari hum ne jo wo zindagi hai


zamane bhar ke gham aur ek tera gham
isi gham se hamari har khushi hai
agar aisa hua to aisa hoga
bara-e-jaan 'azab-e-agahi hai


suna hai fateh-e-alam thi lekin
mohabbat hath bandhe ab khadi hai
tere hote bahut aazad the hum
nahin tu pas to jaan par bani hai


hue 'tasnim' mushrik jis ki khatir
use tauhid ki hichki lagi hai
21037 viewsghazalEnglish