guzre hue lamhat ko rudad karoge

By mahwar-sirsiviJanuary 3, 2024
guzre hue lamhat ko rudad karoge
jis waqt marasim nae ijad karoge
gar tark-e-ta'alluq pe bada naz hai tum ko
par hum jo na honge to bahut yaad karoge


aksar meri taswir ko aankhon mein basa kar
todoge koi shai koi barbaad karoge
ehsas ke mandir mein mohabbat ka janaza
dekhoge to be-sakhta fariyaad karoge


dil aap ki yaadon mein giraftar rahega
qaidi ko mukammal kahan aazad karoge
manzil ko pahunch jaega bhatka hua rahi
jab shahr-e-sukhanwar koi aabaad karoge


tum husn ka 'mehwar' ho zamane ki nazar mein
kya khak mere ba'd mujhe yaad karoge
75081 viewsghazalEnglish