haal dil ka ayan nahin hota
By khalid-zahidMay 14, 2021
haal dil ka ayan nahin hota
hum se ab kuchh bayan nahin hota
but-kada ho haram ki mai-khana
zikr tera kahan nahin hota
ek nazar khud pe daliye sahab
aaina bad-zaban nahin hota
mausam-e-gul bhi is baras hum par
jaane kyon mehrban nahin hota
uf tasawwur ke silsile 'zahid'
khatm ye karwan nahin hota
hum se ab kuchh bayan nahin hota
but-kada ho haram ki mai-khana
zikr tera kahan nahin hota
ek nazar khud pe daliye sahab
aaina bad-zaban nahin hota
mausam-e-gul bhi is baras hum par
jaane kyon mehrban nahin hota
uf tasawwur ke silsile 'zahid'
khatm ye karwan nahin hota
42633 viewsghazal • English