haal-e-KHud-agahi kab tujhse nihan hai saqi
By bishan-dayal-shad-dehlviFebruary 26, 2024
haal-e-khud-agahi kab tujh se nihan hai saqi
zarf har chiz ka surat se 'ayan hai saqi
fikr-e-masti hi faqat tujh ko giran hai saqi
warna hasti ka mujhe hosh kahan hai saqi
paikar-e-husn ki taswir hai mere dam se
dil hai bedar nazar meri jawan hai saqi
gard hai paikar-e-kaunain ki khud-arai
aaj rag rag mein mai-e-hosh rawan hai saqi
mudda'a kahne ko betab hua baitha hun
aakhir insan hun mere munh mein zaban hai saqi
jam-o-mina hain tere lutf-o-karam ke mushaf
surkhi-e-mai mein yahi raaz nihan hai saqi
rang-e-gul naghma-e-qulqul wa fusun-kari mein
teri mahfil ki har ek chiz jawan hai saqi
mudda'i hosh ke sab gum hain tere jalwon mein
kis tarah samjhe koi kaun kahan hai saqi
aaj tak raaz na is manzil-e-rangin ka khula
ek jahan jis ki masafat mein rawan hai saqi
bazm-e-zahir se teri 'shad' hai 'alam lekin
dil parakhne ka wo saman kahan hai saqi

55475 viewsghazal • English