haal mazi ka silsila kaTe

By nasr-ghazaliMarch 9, 2021
haal mazi ka silsila kate
waqt ki waqt har sada kate
lamha lamhe ka yun gala kate
sanp ko jaise newla kate


ganw ka shahar silsila kate
mehr-o-ikhlas ka gala kate
is tarah katti kahan talwar
jis tarah khanjar-e-ana kate


zist ki tang kothari aur main
jaise mujrim koi saza kate
kis talluq ki hai saza aakhir
khud mujhe aaj ghar mera kate


hai koi jyotishi kahin aisa
jo hatheli pe bhi likha kate
31452 viewsghazalEnglish