haalat apne zar na baghat khushnuma tujh se bichhad ke ho gae mazul khush-ada waqt-e-zawal aaya to pur-khar ban gaya wo lahja-e-shagufta wo andaz-e-dil-ruba phaili hai chaar su yahan ghamnak siyahi ai rahbaran-e-shauq rah-e-tiragi mita bazm-e-khayal yun to bahut tabnak thi lekin darun-e-dil ka andhera na mit saka khulta nahin hai shakh-e-dua par koi samar ai bakht ke amin tu koi moajiza dikha ab par kaise aaen bata rahnuma-e-waqt kashti hai aab-gharq to sota hai nakhuda ta-umr jis ke sath 'hira' gamzan rahe wo shakhs kah raha hai hamein aaj be-nawa