haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai shauq mein kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gai tera firaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye yani tere firaq mein khub sharab pi gai tere visal ke liye apne kamal ke liye haalat-e-dil ki thi kharab aur kharab ki gai us ki umid-e-naz ka hum se ye man tha ki aap umr guzar dijiye umr guzar di gai ek hi hadsa to hai aur wo ye ki aaj tak baat nahin kahi gai baat nahin suni gai baad bhi tere jaan-e-jaan dil mein raha ajab saman yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gai us ke badan ko di numud hum ne sukhan mein aur phir us ke badan ke waste ek qaba bhi si gai mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam naf-piyale ki tere yaad ajab sahi gai kahni hai mujh ko ek baat aap se yani aap se aap ke shahr-e-wasl mein lazzat-e-hijr bhi gai sehn-e-khayal-e-yar mein ki na basar shab-e-firaq jab se wo chandna gaya jab se wo chandni gai