haalat ki chiKHon pe kabhi kan dharenge

By khaleel-husain-baloochNovember 3, 2020
haalat ki chikhon pe kabhi kan dharenge
har khauf mein sahmi hui aawaz sunenge
ye lazim-o-malzum nahin hosh mein aaun
kab khamr thi aankhen hain kai roz lagenge


aflak se lauti hai dua aa ke zara dekh
har harf ke chehre pe tujhe sog dikhenge
na amn ki khwahish ko kabhi khauf samajhna
maidan mein hamein dekh tere hosh udenge


banta hai mujhe hijr ne tukdon mein ki meri
aankhen hain kahin par to kahin khwab milenge
pahlu se uthe dard ne aankhon mein jagah li
afsos tujhe nind yahan kaun si ja den


do-chaar qadam aankh ko aankhon se mila kar
ab khwab haqiqat ki asiri ka kahenge
ai ishq tere dar pe mili mar ke bulandi
shah-e-rag pe tujhe zinda-o-jawed likhenge


ye jang ajab jang hai ladna na kabhi bhi
is ishq ke maidan mein jiyenge na marenge
tum dil mein chhupao na kaho aag lagegi
ashaar ke daman mein kahan dard chhupenge


hum zabt 'khalil' odh ke zakhmon pe kai bar
har aah ke sine pe qadam rakh ke hansenge
86203 viewsghazalEnglish