haalat sazgar banane mein rah gaya

haalat sazgar banane mein rah gaya
wo apna bar-e-zist uthane mein rah gaya

duniya ke sath chal na saka wo ziyan-nasib
wo gosha-gir apne thikane mein rah gaya

suraj ne ek bar pukara to tha use
wo apne zehn-o-dil ko jagane mein rah gaya

jine ka hausla jo mere dil mein tha kabhi
shayad kisi guzishta zamane mein rah gaya

khud apni manzilon ke tajassus se be-khabar
wo dusron ko rah dikhane mein rah gaya

wo mahw-e-guftugu the kisi aur se 'kanwal'
main un ko apni baat sunane mein rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close