haalat se farar ki kya justuju karen juz ye ki sheher-e-dar mein jashn-e-subu karen aao ilaj-e-talkhi-e-kaam-o-gulu karen kuchh der shughl-e-jam rahe guftugu karen apne karam se kya wo hamein surkh-ru karen hum aise bad-mizaj ki dil ko lahu karen pahchan bhi na paenge aap apni shakl ko tuta hai dil ka aaina kya ru-ba-ru karen kuchh faisla na ho saka ab ki bahaar mein daman ko tar tar karen ya rafu karen dast-e-junun to ban chuka mashshata-e-chaman pa-e-junun se dasht ko ab surkh-ru karen dar mai-kade ka band haram ka charagh gul khun-e-jigar piyen ki lahu se wazu karen kya din the dil ki baaton se milta tha jab sukun patthar se kis umid pe ab guftugu karen wo motiyon se karte hain munh shairon ka band aise mein kya hum apne ko be-abru karen kis ko dimagh-e-fikr kise fursat-e-sukhan phir kis liye zamane ko apna udu karen 'wamiq' se iltifat ka matlab yahi to hai kuchh der sher-wer sunen ha-o-hu karen