habs hi habs hai hawa bhi nahin koi khidki na dar khula bhi nahin wo masafat ki pair zakhmi hain chaak-daman sila hua bhi nahin kashti tufan mein ghir gai meri aur mere sath nakhuda bhi nahin nan koi hir hun na sohni hun par jaane ka hausla bhi nahin waqt ke bhi ajib chakkar hain mujh ko ye waqt par mila bhi nahin man to bachpan mein mar gai meri ab mere sath ek dua bhi nahin hae ye zist ka safar 'koki' kat gaya hai magar kata bhi nahin