had hai qafas ki habs se diwar-o-dar jale

By
had hai qafas ki habs se diwar-o-dar jale
dekho parai aag se apna bhi ghar jale

pohncha hai la-makan se bhi aage mera khayal
ahl-e-nazar ki had thi so ahl-e-nazar jale

apne hasad ki aag mein jalta raha 'adu
meri udan dekh ke kitnon ke par jale

sahil ki jaan labon pe thi shiddat se pyas ki
dariya ki be-dili se kinare shajar jale

palkon ne is tarah se tarashe hain ashk-e-tar
ye aab-e-girya dekh ke la'l-o-guhar jale

hum bantte rahe hain andheron mein raushni
hum raushni-pasandon se shams-o-qamar jale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close