hadaf hun dushman-e-jaan ki nazar mein rahta hun kise khabar hai qafas mein ki ghar mein rahta hun idhar-udhar ke kinare mujhe bulate hain magar main apni khushi se bhanwar mein rahta hun na main zamin hun na tu aaftab hai phir bhi tere tawaf ki khatir safar mein rahta hun main saya-dar nahin is ke bawajud ye dekh pahan ke dhup teri rahguzar mein rahta hun ye kaisi chidh hai mujhe tirgi ke aalam se ki main charagh hun lekin sahar mein rahta hun mujhe gharaz hai faqat us ki istaqamat se bahaar ho ki khizan main shajar mein rahta hun mujhe shanakht karo mere shahkaron mein main khal-o-khat se ziyaada hunar mein rahta hun