hadd-e-nazar se bhi koi aage nikal gaya
By sabir-naseerabadiOctober 26, 2023
hadd-e-nazar se bhi koi aage nikal gaya
ai chashm-e-shauq dekh zamana badal gaya
dil jo gham-e-hayat ke sanche mein dhal gaya
diwana tera girne se pahle sanbhal gaya
tha kis ko hosh kucha-e-jaanan mein kya hua
barq-e-nigah se dil-e-diwana jal gaya
dekhi gai na us se meri sokhta-dili
patthar ke jism se bhi pasina nikal gaya
'sabir' ka zikr tha sar-e-mahfil chhida hua
wo aa gaya to baat ka pahlu badal gaya

26701 viewsghazal • English