hai aam azal hi se faizan mohabbat ka imkan musallam hai imkan mohabbat ka toda nahin ja sakta paiman mohabbat ka nuqsan khud apna hai nuqsan mohabbat ka phir un ki nigahon se takrai meri nazren phir badhne laga dil mein tufan mohabbat ka ek ek tamanna mein lakhon hain tamannaen armanon ki duniya hai arman mohabbat ka is waste muslim ki fitrat mein mohabbat hai deta hai sabaq us ko quran mohabbat ka barbaad-e-mohabbat ki haalat hai ajab haalat hai be-sar-o-samani saman mohabbat ka jazbaat mohabbat ke main lakh chhupata hun karti hain meri nazren elan mohabbat ka goya mere sine mein mizan-e-mohabbat hai yun dil mein jigar mein hai paikan mohabbat ka wo nur ka partaw hai ya husn ka partaw hai hai din mohabbat ka iman mohabbat ka jo dard ka hamil hai wo zauq mein kaamil hai behis ko nahin hota iqan mohabbat ka ijmal ye be-shak hai tafsil ka aaina mazmun pe hawi hai unwan mohabbat ka hain us ke tasawwur ko ghere hue arman sab rahta hai faqiron mein sultan mohabbat ka aati hai nazar us mein ikhlas ki har surat aaina hai aaina insan mohabbat ka nairang mohabbat ka har sher se zahir hai hai 'qadr' ka diwan bhi diwan mohabbat ka