hai ajab haal ye zamane ka yaad bhi taur hai bhulane ka pasand aaya bahut hamein pesha khud hi apne gharon ko dhane ka kash hum ko bhi ho nasib kabhi aish-e-daftar mein gungunane ka aasman hai khamoshi-e-jawed main bhi ab lab nahin hilane ka jaan kya ab tera piyala-e-naf nashsha mujh ko nahin pilane ka shauq hai is dil-e-darinda ko aap ke hont kat khane ka itna nadim hua hun khud se ki main ab nahin khud ko aazmane ka kya kahun jaan ko bachane main 'jaun' khatra hai jaan jaane ka ye jahan 'jaun' ek jahannum hai yan khuda bhi nahin hai aane ka zindagi ek fan hai lamhon ko apne andaz se ganwane ka