hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai kahin karobar si dopahar kahin bad-mizaj si sham hai yunhi roz milne ki aarzu badi rakh-rakhaw ki guftugu ye sharafaten nahin be-gharaz ise aap se koi kaam hai kahan ab duaon ki barkaten wo nasihaten wo hidayaten ye mutalbon ka khulus hai ye zaruraton ka salam hai wo dilon mein aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai na udas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai koi naghma dhup ke ganw sa koi naghma sham ki chhanw sa zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai