hai be-lab-o-zaban bhi ghul tere nam ka mahram nahin hai gosh magar is payam ka khush hai malamat ahl-e-kharabaat kai liye is silsile mein nam nahin nang-o-nam ka nakhwat hai jis ke kasa-e-sar mein bhari hui kab mustahiq hai mahfil rindan mein jam ka jagir-e-dard par hamein sarkar-e-ishq ne tahrir kar diya hai wasiqa dawam ka wadi-e-ishq mein na mila koi ham-safar sunte the nam khizr alaihis-salam ka aasudgi na dhund ki jata hai karwan le mustaar barq se waqfa qayam ka khola hai mujh pe sirr-e-haqiqat majaz ne ye pukhtagi sila hai khayalat-e-kham ka khata nahin fareb-e-tamanna-e-do-jahan khugar nahin hai tausan-e-himmat lagam ka mat rakh tama se chashm-e-tamatto ki hai yahan dana har ek mardumak-e-dida-dam ka pahuncha diya hudud-e-do-alam se bhi pare mutrib ne rag chhed diya kis maqam ka zulmat mein kya tamiz safed-o-siyah ki furqat mein kuchh hisab nahin subh-o-sham ka jis ki nazar hai sanat-e-abru-nigar par hai wo qatil-e-tegh na kushta niyam ka khane ko ai haris gham-e-ishq kam nahin ye ho to kuchh bhi fikr na kar qarz-o-wam ka main be-qarar-e-manzil-e-maqsud be-nishan raste ki intiha na thikana maqam ka gar dekhiye to khatir-e-nashad shad hai sach puchhiye to hai dil-e-nakaam kaam ka utthe teri naqab to uth jae ek bar sab tafraqa ye roz-o-shab-o-subh-o-sham ka