hai bikharne ko ye mahfil-e-rang-o-bu tum kahan jaoge hum kahan jaenge har taraf ho rahi hai yahi guftugu tum kahan jaoge hum kahan jaenge har mata-e-nafas nazr-e-ahang ki hum ko yaran hawas thi bahut rang ki gul-zamin se ubalne ko hai ab lahu tum kahan jaoge hum kahan jaenge awwal-e-shab ka mahtab bhi ja chuka sehn-e-mai-khana se ab ufuq mein kahin aakhir-e-shab hai khali hain jam-o-subu tum kahan jaoge hum kahan jaenge koi hasil na tha aarzu ka magar saneha ye hai ab aarzu bhi nahin waqt ki is masafat mein be-arzu tum kahan jaoge hum kahan jaenge kis qadar dur se laut kar aae hain yun kaho umr barbaad kar aae hain tha sarab apna sarmaya-e-justuju tum kahan jaoge hum kahan jaenge ek junun tha ki aabaad ho shahr-e-jaan aur aabaad jab shahr-e-jaan ho gaya hain ye sargoshiyan dar-ba-dar ku-ba-ku tum kahan jaoge hum kahan jaenge dasht mein raqs-e-shauq-e-bahaar ab kahan baad-paimai-e-diwana-war ab kahan bas guzarne ko hai mausam-e-haw-hu tum kahan jaoge hum kahan jaenge hum hain ruswa-kun-e-dilli-o-lucknow apni kya zindagi apni kya aabru 'mir' dilli se nikle gae lucknow tum kahan jaoge hum kahan jaenge