hai dhup kabhi saya shoala hai kabhi shabnam lagta hai mujhe tum sa dil ka to har ek mausam bite hue lamhon ki khushbu hai mere ghar mein book-rack pe rakkhe hain yaadon ke kai album kamre mein pade tanha aasab ko kyun todo niklo to zara bahar deta hai sada mausam kis darja mushabah ho tum 'mir' ki ghazlon se lahje ki wahi narmi baaton ka wahi aalam sahil ka sukun tum lo main mauj-e-khatar le lun yun waqt ke dariya ko taqsim karen baham