hai dhyan jo apna kahin ai mah-jabin aur jaana hai kahin aur to jata hun kahin aur jab tu hi kare dushmani hum se to ghazab hai tere to siwa apna koi dost nahin aur main hashr ko kya roun ki uth jate hi tere barpa hui ek mujh pe qayamat to yahin aur wada to tere aane ka hai sach hi wa-lekin bazu ke phadakne se hua dil ko yaqin aur aakhir tu kahan kucha tera aur kahan hum kar lewen yahan baith ke ek aah-e-hazin aur tha ru-e-zamin tang zi-bas hum ne nikali rahne ke liye sher ke aalam mein zamin aur nam apna likhawe to likha dil pe tu mere is nam ko behtar nahin is se to nagin aur abru ki to thi chin mere dil pe ghazab par mizhgan se numudar hue khanjar-e-kin aur nikle to usi kucha se ye gum-shuda nikle dhundhe hai 'hasan' dil ko to phir dhund wahin aur