hai dil-e-sozan mein tur us ki tajalli-gah ka ru-e-atishnak har shola hai meri aah ka wasl kya hum khaksaron ko ho is dil-khwah ka khak mein aaluda hona kab hai mumkin mah ka nur-afshan jab se hai dil mein khayal us mah ka tur ka shola dhuan hai meri sham-e-ah ka qamat-e-mauzun nazar aae mujhe ja-e-alif tha shuru-e-ashiqi din meri bismillah ka samjhe mai-kash dekh kar abru teri baala-e-chashm mai-kade se martaba aala hai baitullah ka aamad-e-khat mein to hone de nigahon ka guzar dekh le bachne nahin pata hai sabza rah ka khalq ne quran dekha jab hua mah-e-rajab hum ne dekha mushaf-e-rukhsar apne mah ka aate hi us tifl ke raushan siyah-khana hua shama san jalwa hai us ke qamat-e-kotah ka yar ka 'nasikh' phata hai pairahan to aib kya hai katan ko chaak karna kaam nur-e-mah ka