hai khak-basar saba mere baad gulshan ki phir hawa mere baad thi ja-e-visal manzil-e-gor hasil hua muddaa mere baad ai tap na jalana ustukhan ko mayus na ho huma mere baad qatil ne bahae lash par ashk tha bas yahi khun-baha mere baad yun khak mein main mila ki us ne paya na mera pata mere baad ki dagh ne khak se tarawish gul qabr se ye khila mere baad auron pe karoge jab jafaen yaad aaegi ye wafa mere baad go main na raha magas ki surat shohra to raha mera mere baad ai gham meri jaan kha chuka tu kya hogi teri ghiza mere baad be-jurm kiya jo qatl mujh ko jallad khajil hua mere baad rutha raha yun to umr bhar wo turbat se gale laga mere baad baqi na raha jahan mein 'ajiz' kuchh lutf zaban ka mere baad