hai kya maza junun mein diwana ban ke dekho jalne mein lutf kya hai parwana ban ke dekho zahid bura na mano do-chaar jam pi lo masti mein kya maza hai mastana ban ke dekho gumnamiyon mein guzri umr-e-aziz sari mahfil mein aa ke baitho afsana ban ke dekho chhodo bhi jam ke qisse mazi se kya ho chimte ai jam-e-jam hamara paimana ban ke dekho zulmat-kada tumhaara ai dil hai suna suna ek sham-e-anjuman ka kashana ban ke dekho shadabiyon se apni ai gulsitan mila kya ab ke bahaar mein tum virana ban ke dekho duniya ko dekh dale tum dost ban ke barson ab chand roz 'mazhar' begana ban ke dekho