hai kya sang-e-dar-e-jaanan usi ka dil samajhta hai jo diwana teri chaukhat ko mustaqbil samajhta hai taqaze par murawwat ke zara sar kya jhukaya tha usi din se mera dushman mujhe buzdil samajhta hai ye sadkon par jo diwana diwana-war phirta hai koi pagal samajhta hai koi kaamil samajhta hai khushi chipka ke honton par naya chehra banata hun main kaise aata jata hun sar-e-mahfil samajhta hai sar-e-maqtal ye katne ko jhukegi to ana ke sath meri gardan ki khubi ko mera qatil samajhta hai sakhawat to mashiyyat pe hi mabni hai sakhi ki par gham-e-inkar kya hai ye dil-e-sail samajhta hai yahan insaf hona ghair-mumkin hai miyan 'danish' ye munsif haq-bayani ko zara mushkil samajhta hai