hai mere hind ki tahzib ki paikar urdu

By ajay-sahaabOctober 13, 2022
hai mere hind ki tahzib ki paikar urdu
apni mushtarka wirasat ki hai dukhtar urdu
is ke har lafz mein tahzib ki nurani hai
lafz-e-taban liye hai mere munawwar urdu


mulk mere kabhi mahsus kiya hai tu ne
teri guftar mein aa jati hai aksar urdu
'mir' o 'ghaalib' hon ya 'sahir' se nagine kitne
tu ne hum ko diye mumtaz sukhanwar urdu


tere shaidai hain phulon se tujhe dhak lenge
tujh pe aaenge siyasat ke jo patthar urdu
hind ki khak ka har rang mila hai tujh mein
sari nadiyon se bani hai tu samundar urdu


mujh ko ab sirf usi din ki tamanna hai 'sahab'
boli jaegi mere mulk mein ghar ghar urdu
66234 viewsghazalEnglish