hai mukammal unhi se zat meri mere bachche hain kaenat meri main bas insaniyat ka qail hun puchhte kya ho zat-pat meri zist jina muhaal kar degi yaad aaegi baat baat meri us ne bhi mera hath chhod diya jis ke hathon mein thi hayat meri us ne bas muskura ke dekha tha khil uthi sari kaenat meri kis qadar be-misal sapna tha chain se kat gai hai raat meri tere lahje se hausla pa kar gungunane lagi hayat meri jit kar bhi wo ro diya 'anwar' us se dekhi gai na mat meri