hai nafas nafas teri aarzu hai qadam qadam teri justuju
By ajay-sahaabOctober 13, 2022
hai nafas nafas teri aarzu hai qadam qadam teri justuju
main jahan rahun main kahin chalun teri yaad milti hai ku-ba-ku
hai hawa mein jaise mahak teri kisi abr mein hai jhalak teri
meri sham ke ye nuqush bhi tere jaise lagte hain hu-ba-hu
kabhi ashk se meri aankh nam kabhi khun se jism ye tar-ba-tar
tere ishq ki ye namaz bhi padhun kaise dost main be-wuzu
hai badan mein teri hi aahaten tere nam ki hain ye dhadkanen
mera dil bhi kaise ye man le ki chala gaya kahin dur tu
yun labon pe mere hansi bhi hai wahin aankh mein ye nami bhi hai
main imam koi hun dard ka main hun fitratan hi udas-khu
mere lab pe us ka bayan hai mere sheron ki wahi jaan hai
jise kah rahe ho ghazal meri mere yar ki hai wo guftugu

66740 viewsghazal • English