hai nazar mein jo baal shishe ka

By aarif-nazeerJuly 12, 2024
hai nazar mein jo baal shishe ka
kya yahi hai zawal shishe ka
tu ne patthar pe rakh diya kaise
dil hai mera sanbhaal shishe ka


hashr barpa hai pattharon ka janab
thoda rakhiye khayal shishe ka
munh haqiqat se kya chhupata hai
khauf dil se nikal shishe ka


tut kar ek se anek hua
bas yahi hai kamal shishe ka
tum ne patthar se dosti kar li
kuchh to rakhte khayal shishe ka


pattharon ke jahan mein 'arif'
padne wala hai kal shishe ka
92496 viewsghazalEnglish