hai nihayat sakht shan-e-imtihan-e-ku-e-dost zindagi se hath dho len sakinan-e-ku-e-dost jab nahin pate pata na-waqifan-e-ku-e-dost dard uth uth ke batata hai nishan-e-ku-e-dost tang karte hain hamein kyun pasban-e-ku-e-dost aur hain do-chaar din hum mehman-e-ku-e-dost na-tawan ye aur manzil ishq ki dushwar-tar chalte chalte thak na jaen rah-rawan-e-ku-e-dost aarzu-e-wasl hai ab aur na furqat ka alam shukr hai aaram se hain khuftagan-e-ku-e-dost kaun si ja hai asiran-e-mohabbat ke liye kis liye jaen kahin wabastagan-e-ku-e-dost ai 'rashid' ulfat mein jazb-e-dil salamat chahiye dhund hi lenge kisi surat nishan-e-ku-e-dost